Mera Bachpan Aur Maa Baap ka Budhapa | Love Poetry by Nitin Bhavsar

Agar mere garib rehne se mere maa baap amir hote hai
Fir mein garib hi sahi...
Agar khata aaya hu abhi tak shrikhand door shahar mein...
to gaon mein maa baap ki seva ka shakar dahi hi sahi.. 
Paida karne wale ko hi uske budhape mein agar sambhaal na saku to..
To kya mera ye jeena bhi, kisi baat ka kahi..??
Paisa agar sab kuch de deta to door rehkar kharid leta apno ki khushiya..
Lekin ye zindagi bhi bhala deti kaha.. Jo chaho wahi.. 
Mushkil hogi ..par dekhta hu..
Upar wala kab tak lega imtihaan mera..
Aakhir usse bhi to milunga kahi na kahi..
puchhunga fir..
Kyo mere rishte rehte hai mobile mein..
mere samne nahi.. 
Regards - Nitin Bhavsar

Post a Comment

0 Comments